Source : Sub Sy Pehle Seela Rice Ko 3 Hour Ke Liye Bhigo Dein Wash Kar Keoil Garam Krein Us Main Onion Cut Kar Ke Golden Brown Kar Lein Aur Brown Onion Ko Oil Sy...
PreTime
more Minutes
CookTime
a few Minutes
Yield
Some Servings
Sent by Afshan Tabassum
at : April 23, 2026
Step:
Sub sy pehle seela rice ko 3 hour ke liye bhigo dein wash kar ke
Oil garam krein us main onion cut kar ke golden brown kar lein aur brown onion ko oil sy nekal kar side kar dein
Usi oil main sy half oil nikal ke side kar dein baki oil main sare sabit garam masale add krein 1 min kar karain phir chicken add krein
Chicken ko etna fry krein oil main ke us ka colour change ho jaye
Aub chicken main ginger garlic paste add krein aur khub ache sy 5 min tak bhon lein
Ginger garlic paste dalne ke baad,chicken ke hisab sy salt add krein, red chilli powder, coriander powder, Tarmiric powder add krein thora pani dal kar bhon lein 5 min tak
Masale add krne ke baad dahi 1/2 cup add krein aur ache sy bhon lein
Aub Tamatar gol kat kar add krein aur 5 min ke liye cover kar dein take tomato soft ho jaye
5 min ke baad Tamatar bhi bhon lein thora pani add krein take halki si gravy ban jaye
Aub chicken main brown onion, green chilies add krein ache sy mix kar lein aur flem off kar dein khayal rahe ke chicken main thori gravy honi chahye kyun ke jab biryani dam lagain tu bhap asani sy ban jaye aur biryani ache sy dam par a jaye
Aub ke bare patrlay main chawal ke hisab sy 4 guna pani zada dal kar pani boil kar lein
Jab pani main ache sy boil a jaye tu 2 tbsp oil, aur salt add krein chawal ke hisab sy, 1/2 tsp biryani essence bhi dal dein phir rice dalein
Ek kani chor kar chawal boil kar lein aur chan kar rakh lein
1/2 cup yogurt main zarde ka rang mix kar ke side kar dein
Aub ek khole moh ka bara patela lein us main ready chicken ko pehla kar dal dein oper sy hara dhanya, podena add krein
Dhanya, podena add krne ke baad dahi main jo zarde ka rang mila kar rakha tha wo dahi pehla kar chicken par dal dein
Dahi dalne ke baad chawal ki teh lagain phir half oil jo nikal kar rakha tha wo oper sy dal dein biryani masala 1/2 tsp dalein, kewara dalein thora pani ka chenta dein aur cover kar dein
Aub ek tawa garam krein aur biryani ka patela tawe par rakh dein 10 min full flem par pakain phir slow flame par 15 min ke liye dam laga dein mazedar dar Khushbo dar biryani ready ho jaye gi