Source : Kurri Kay Leay Dahi Main Chopped Onions Adrak Lahsan Ki Paste Baisan Salt Chilli Sukha Dhuniya Aur Haldi Daal Kar Achi Tra Mix Kar Lain Ab Is Main ...
PreTime
more Minutes
CookTime
a few Minutes
Yield
Some Servings
Sent by Umbreen Musa
at : September 30, 2026
Step:
Kurri kay leay dahi main chopped onions, adrak lahsan ki paste, baisan, salt,chilli,sukha dhuniya aur haldi daal kar achi tra mix kar lain.
Ab is main pani daal kar puknay dain.
Aik ghanta puknay kay baad jub kurry ka pani half rah jaey to turka laga dain.
Baisan ghol kar pahlay say rukh dain, aik ghanta baad pakoray bana kar jub turka laga rhay hon to pakoray bhi daal dain.
Pakoray dalnay kay baad bhi 5_6 minutes puknay dain. Phir aag bund kar kay dhukan day dain.kurry ko zeada thick na krain, yea khud hi thick ho jati hay.
Boiled rice kay sath maza zeada hay, warna roti kay sath bhi kha suktay hain.