Aalu ka pratha with dahi, aaru ka sharbat aur cookies
Source : Aalu Boil Kar Kay Mash Kar Lain Baki Ingredients Ready Kar Lain Aalu Main Masalon Ko Mix Kar Lain Ab Aatay Kay Chotay Balls Table Tennis Bana Lain A...
PreTime
more Minutes
CookTime
a few Minutes
Yield
Some Servings
Sent by Umbreen Musa
at : June 3, 2026
Step:
Aalu boil kar kay mash kar lain.
Baki ingredients ready kar lain.
Aalu main masalon ko mix kar lain.
Ab aatay kay chotay balls (table tennis) bana lain aur aalu mixture kay thoray ball bana lain.
Ab aik aatay kay ball ko phaila kar aalu wala ball rukh dain uper dusra aatay ka ball. Dba kar jor lain aur roti bana lain.
Tway pay roti daal kar aik side say puk jaey to ghee laga kar ulta lain aur dusri side bhi paka lain.
2 logon kay leay 3 prathay enough hotay hain me nay phir bhi 4 bnaey ta kay kum na hon. Sath aaru ka taza sharbat, prathay kay sath dahi aur end main meethay main cookies hain. Baki recipe kay link sath day deay hain.