Source : Qeemay Main Chunay Ki Daal Ko Dho Kar Add Krain Ab Iss Main Sabut Garam Masala Add Krain Salt And Black Pepper Add Krain 2 Cup Pani Daal Kar Puknay Ruk...
PreTime
more Minutes
CookTime
a few Minutes
Yield
Some Servings
Sent by Umbreen Musa
at : December 30, 2025
Step:
Qeemay main chunay ki daal ko dho kar add krain.
Ab iss main sabut garam masala add krain, salt and black pepper add krain.
2 cup pani daal kar puknay rukh dain.
Half an hour main daal soft ho jaey gi aur pani dry ho jaey ga.
Ab iss mixture ko choper main chop kar lain.
Anday boil kar kay cheel lain.
Ab qeemay walay mixture ko check krain agar to wo dry hay to aik egg add kar dain. Agar dry nae hay to egg ki koi zrurat nae.
Ab iss mixture ko anday pay coat krain.
Achi tra anday pay mixture laga kar usay phaintay egg main dip krain phir bread crumbs main dip krain.
Ab inn eggs ko deep fry kar lain.
Curry kay leay onion ko kaat kar oil main fry krain. Iss main dahi, ginger garlic paste, salt, chilli aur coriander add krain.
Achi tra masala bhon lain. Issay ab milk shake walay jug main grind kar lain.
Grind keay huay masalay ko dubara daighchi main daal lain.aur achi tra bhoon lain.
Ab dish main daalain aur fry keay huay anday kaat kar rukh dain.