Source : Dough Kay Ingredients Say Pani Daal Daal Kar Dough Bana Lain Chotay Chotay Balls Bana Lain Me Nay Daal Ki Kachori Bnae Hay Isleay Leftover Daal Thi Usko...
PreTime
more Minutes
CookTime
a few Minutes
Yield
Some Servings
Sent by Umbreen Musa
at : October 23, 2026
Step:
Dough kay ingredients say pani daal daal kar dough bana lain.
Chotay chotay balls bana lain.
Me nay daal ki kachori bnae hay isleay leftover daal thi usko aag pay bilkul dry kar lia.
Daal ki bnani hon to daal ko dry kar lain. Chunnay ki daal, mong ki daal subki achi bunti hain.
Dry pukki hue daal main hara dhuniya, hari mirch aur onion bareek chopped kar kay add kar dain. Salt aur na add krain. Kyun kay paki hue daal dry ho kar zeada salty ho jati hay.
Ab har ball ko hath pay rukh kar press krain, centre main filling rukhain aur dubara gol kar lain. Ab phir dba dba choti si roti bana lain.