Maithi ki roti aur ghar ka mukhan

Source : Balaee Ya Malaee Jo Bhi Kah Lain Dus Pundra Din Say Store Ki Hue Ko Aik Baray Burtan Main Daal Kar Beat Krain Itna Beat Krain Ke Wo Thick Ho Jaey Max...

PreTime
more Minutes
CookTime
a few Minutes
Yield
Some Servings

Sent by

at : October 6, 2026

Step:

  1. Balaee ya malaee jo bhi kah lain, dus pundra din say store ki hue ko aik baray burtan main daal kar beat krain. Itna beat krain ke wo thick ho jaey. Max 6_7 minutes.

    Maithi ki roti aur ghar ka mukhan recipe step 1 photo Maithi ki roti aur ghar ka mukhan recipe step 1 photo
  2. Beat krtay huay thick honay kay baad cream apna pani chorna start kar day gi.

    Maithi ki roti aur ghar ka mukhan recipe step 2 photo
  3. Jub cream say pani nikalna start ho to 2 glass thunday pani kay add kar dain.

    Maithi ki roti aur ghar ka mukhan recipe step 3 photo
  4. Sara mukhan pani say alug ho jaey ga, aaram say nikal lain. Zara ruk jaen ab yea pani zaya nahi krna.

    Maithi ki roti aur ghar ka mukhan recipe step 4 photo Maithi ki roti aur ghar ka mukhan recipe step 4 photo
  5. Iss mukhan niklay dudh ko aag pay rukhain. Jub boil aanay lagay to 1 lemon ka rus daal dain ya aik Tbsp vinegar. Dudh ab pani bun jaey ga aur paneer alug ho jaey ga.chaan lain aur nachor lain. Yea kubhi bhi kaam a sukta hay.

    Maithi ki roti aur ghar ka mukhan recipe step 5 photo Maithi ki roti aur ghar ka mukhan recipe step 5 photo Maithi ki roti aur ghar ka mukhan recipe step 5 photo
  6. Jo pani nikla hay usay aata gundhnay main use krain. Roti bht soft bunti hay :)

  7. Ab maithi ko kaat kar dho lain aur aik cup pani kay sath grind kar lain. Maithi wala green pani bun jaey ga.

    Maithi ki roti aur ghar ka mukhan recipe step 7 photo Maithi ki roti aur ghar ka mukhan recipe step 7 photo Maithi ki roti aur ghar ka mukhan recipe step 7 photo
  8. Ab aatay main namak mirch etc daal dain.

    Maithi ki roti aur ghar ka mukhan recipe step 8 photo Maithi ki roti aur ghar ka mukhan recipe step 8 photo
  9. Ab thora thora pani dal kar (maithi wala) aata gundh lain, mujh say zeada pani dul gea, aata putla ho gea.isleay aur aata dalna par gea. Aatay ka colour green aana chaheay. Maira nahi a suka kyun ke aata zeada dalna para.

    Maithi ki roti aur ghar ka mukhan recipe step 9 photo Maithi ki roti aur ghar ka mukhan recipe step 9 photo
  10. Ab normal roti ki tra roti paka lain. Sukhi ya ghee wali jo dil chahay.

    Maithi ki roti aur ghar ka mukhan recipe step 10 photo

Ingredients

  1. For mukhan_
  2. Balaee or malaee
  3. For maithi ki roti_
  4. 1/2 wheat flour
  5. 1 big guthi maithi
  6. 1 onion chopped
  7. Hara dhuniya
  8. Hari mirch
  9. 2-3 tsp salt
  10. 1 tsp red chilli
  11. 1 cup water
  12. 1 tsp zeera
  13. 1 Tbsp sabut sukha dhuniya
  14. Oil or ghee for roti making

Related Recipes

Thai curry

Thai curry

Shakshuka with meethi lassi

Shakshuka with meethi lassi

Soya milk

Soya milk

Wainar alkama

Wainar alkama

Crispy aalu pakora

Crispy aalu pakora

Mango smoothie

Mango smoothie

Chicken burger patties

Chicken burger patties

Yam burger

Yam burger