Source : Sab Se Pehly Maida Mai Namak Chinni Oil Aur Yeast Daal Lain Aur Phir Pani Se Soft Dough Tayar Kar Lain Aur 1 Ghante K Liye Rakh Dain Jab Ache Se R...
PreTime
more Minutes
CookTime
a few Minutes
Yield
Some Servings
Sent by Haya Ali
at : July 25, 2026
Step:
Sab se pehly maida mai namak, chinni, oil aur yeast daal lain.
Aur phir pani se soft dough tayar kar lain aur 1 ghante k liye rakh dain.
Jab ache se rise ho jae to is ko AK bar phir se 1 minute k liye goundh lain.
Ab chicken mai namak, laal mirch, soy sauce, sweet chilli sauce aur oil daal kar 10 minutes k liye rakh dain.
Ab chicken ko halki anch per ache se galne taq paka lain.
Dough k 2 barabar k pede bana lain.
Ab pizza pan mai set kar k pizza sauce aur adhi cheese dough pe set kar lain.
Ab chicken aur baqi ki cheese aur marzi k mutabik olives aur tamatar set kar lain.