Source : Pehle Dough Ke Liye Sare Ingredients Ko Ek Bade Bowl Mein Lijiye Aur Tel Dalker Moyan Lagaiye Fir Thoda Thoda Pani Mila Ker Thoda Sakht Aata Teyyar Kare...
PreTime
more Minutes
CookTime
a few Minutes
Yield
Some Servings
Sent by Sanchita Mittal
at : May 31, 2026
Step:
Pehle dough ke liye sare ingredients ko ek bade bowl mein lijiye aur tel dalker moyan lagaiye.
Fir thoda thoda pani mila ker thoda sakht aata teyyar kare aur ek sooti kapde se dhak ker 20 minutes ke liye alag rakh dein.
Filling /bharawan ke liye ek kadhai mein 1 badi chammach tel garam karein, usme thoda rai, jeera daliye.
Jeera tadakne ke bad usmein ubli hui matar dalker 1 minute ke liye bhune.
Abb adrakh-hari mirch ka paste bhun dijiye aur sare sookhe masale mila ker achhe se bhun dijiye.
Abb masle hue aaloo aur namak ko dalker achhe se mix ker lijiye aur fir gas band ker dijiye.
Teyyar kiye hue dough me se ek loi le ker ek puri bel lijiye phir usko beech mein se chaku ki sahayta se 2 chandrakar tukdo mein kat dijiye.
Ab kinaron per pani laga ker, cone bana lijiye aur 2 chammach teyyar bhrawan, bhar dijiye aur samose ki shape dete hue acche se band ker dijiye
Issi tarah sare samose teyyar ker lijiye
Ek kadhai mein 2 cup tel garam ker ke samose ko madhyam aanch per sunhare hone tak tal lijiye.