Source : Ek Frying Pan Mein Tel Garam Karein Rai Dale Curry Patte Aur Hari Mirch Bhi Dalein Aur Aadha Minute Tak Bhune Abb Masle Hue Aaloo Aur Sabhi Sookhe Mas...
Sent by Sanchita Mittal
Ek frying pan mein tel garam karein, rai dale, curry patte aur hari mirch bhi dalein aur aadha minute tak bhune.
Abb masle hue aaloo aur sabhi sookhe masale aur namak dalein aur achhe se mila dein.
Hari dhaniya patti bhi mila dein, Gas band ker dein aur aaloo mixture ko thanda hone dein.
Abb iske Chhote balls banaye aur side me rakh dein.
1 bade bowl mein besan lein usme namak aur meetha soda dal kar thoda thoda pani dalein aur milaein
Iss ghol mein teyyar aaloo ke balls dubo kar garam tel mein sunehre hone tak tal lein.
Ek bina ganth wala ghol teyyar kare.
Abb ek plate mein nikal lein.
Hari Chutney, imli ki chutney aur sauce ke sath garam garam parose