Source : Mongray Kaat Lain Mongron Ko Dono Side Say Thora Thora Katna Hota Hay Chotay Size Ka Ho To Pura Aur Baray Size Ka Ho To Half Kar Daitay Hain Boiling W...
PreTime
more Minutes
CookTime
a few Minutes
Yield
Some Servings
Sent by Umbreen Musa
at : March 9, 2026
Step:
Mongray kaat lain. Mongron ko dono side say thora thora katna hota hay. Chotay size ka ho to pura aur baray size ka ho to half kar daitay hain.
Boiling water main mongray daal dain aur boil aanay dain. Takreebun 7 say 8 minutes tuk boil kar lain.
Boil kay baad mongron ko chaan lain. Boil krnay say inki smell nikal jati hay aur half cook ho jatay hain.
Ab onion aur aalu ko cheel lain. Cheel kar dho kar katna ho ga.
Daigchi main oil dal kar kutay huay onion ko brown kar lain.
Onion brown ho jaen to tomatoes kaat kar daal dain sath hi ginger garlic paste add kar dain. Achi tra mix krain phir salt, chilli powder aur dhuniya powder bhi daal dain.
Masalay ko achi tra bhoon lain.
Masala bhoon jaey to aalu add krain. Phir half cup pani daal kar dhukan day kar dus minutes puknay dain.
Aalu half cook ho jaen to mongray add kar dain.
Achi tra mix kar kay 15 minutes kay leay dhukan day kar hulki aag pay puknay dain.