Source : Arvi Ko Gloves Pahan Kar Cheel Lain Yea Hath Pay Kharish Kar Daiti Hay Arvi Cheel Kar Pani Kay Aik Bowl Main Salt Add Kar Lain Aur Arvi Daal Kar Achi T...
PreTime
more Minutes
CookTime
a few Minutes
Yield
Some Servings
Sent by Umbreen Musa
at : June 10, 2026
Step:
Arvi ko gloves pahan kar cheel lain. Yea hath pay kharish kar daiti hay.
Arvi cheel kar pani kay aik bowl main salt add kar lain aur arvi daal kar achi tra whisker say hila lain. Jhag bun jaey to wash kar lain.
Ab arvi ko shallow fry kar lain
Dusri trf onion ko kaat kar oil main light brown kar lain. Thoray onion kuchay nikal lain dum pay dalnay kay leay.
Ab onion main salt, chilli, dhuniya powder, huldi, ginger garlic paste aur dahi dal kar masala bana lain.
Sath hi tomatoes kaat kar add kar lain. Aur masala bhoon lain.
Achi tra masala bhon jaey aur oil nikal aaey to arvi add kar dain aur bhon lain.
2 cup pani daal kar medium flame pay dhukan day kar dus say 15 minutes puknay dain.
Jub arvi soft ho jaey to aag bund kar kay baki kucha katta hua onion daal kar dhukan day dain.
Garma garamroti kay sath aur dahi ki namkeen lassi kay sath serve krain.