Source : Ingredients Ko Ready Kar Lain Fresh Coconut Ko Saaf Kar Kay Uper Say Kaat Lain Ander Kucha Coconut Laga Rahnay Dain Coconut Katna Easy Nae Mujh Say N...
PreTime
more Minutes
CookTime
a few Minutes
Yield
Some Servings
Sent by Umbreen Musa
at : March 6, 2026
Step:
Ingredients ko ready kar lain.
Fresh coconut ko saaf kar kay uper say kaat lain. Ander kucha coconut laga rahnay dain. Coconut katna easy nae, mujh say nae kut rha tha, markit say kutwaya.
Dudh ko daighchi main daal kar puknay dain.
Sugar add krain aur achi tra mix kar lain. Ab dudh ko boil aanay dain.
Ab chawal kay aatay ko pani main mix krain aur boiling milk main daal dain. Chumch hilatay rhain ta kay guthli na bnay.
Cream kay pack ko kaat lain aur thick hoti hue firni main daal kar mix krain. Mix ho jaey to aag bund kar dain.
Firni ko bowl main daal dain aur grated coconut ko uss main daal kar mix kar lain.
Ab coconut mix firni ko fresh katay huay coconut main fill kar dain.
Coconut kay uper walay kuttay huay hissay ko alug say aluminium foil main lapait lain. Aur dhukar firni par rukh kar saray coconut ko dubara say foil main lapait lain.
Achi tra thunda krnay kay leay 15 say 20 minutes kay leay freezer main rukhain ya aik say 2 hours refrigerator main rukhain. Phir serve kar dain.