Source : Ghee Main Elaichi Daal Kar Garam Krain Aur Sawayian Tor Kar Daal Dain 5_6 Minutes Bhoon Lain Aur Milk Add Kar Dain Milk Ko Taiz Aag Pay Boil Aanay Dain...
PreTime
more Minutes
CookTime
a few Minutes
Yield
Some Servings
Sent by Umbreen Musa
at : January 15, 2026
Step:
Ghee main elaichi daal kar garam krain aur sawayian tor kar daal dain.
5_6 minutes bhoon lain. Aur milk add kar dain.
Milk ko taiz aag pay boil aanay dain.
Ab aag hulki kar dain aur dhukan kay bghair aik ghanta puknay dain.
Ab sugar add krain aur chumch say mix kar lain.
Sugar add krnay kay baad aag thori taiz krni hay aur thick krna hay, chumch hilatay jana hay warna jul jaey gi.
Jub thick ho jaey to dish out kar lain.
Badaam hon to cheel kar bareek kar kay daal dain. Mairay pass thay nae isleay nae daal suki.