Source : Set All Ingredients Khoya Bnanay Kay Leay Pan Main Ghee Dalain Jub Garam Ho To Dudh Add Krain Ghee Aur Dudh Achi Tra Puknay Dain Aur Thora Thora Kar Ka...
PreTime
more Minutes
CookTime
a few Minutes
Yield
Some Servings
Sent by Umbreen Musa
at : December 2, 2025
Step:
Set all ingredients.
Khoya bnanay kay leay pan main ghee dalain, jub garam.ho to dudh add krain.
Ghee aur dudh achi tra puknay dain aur thora thora kar kay milk powder add krtay jaen aur mix krtay jaen. 5_6 minutes tuk low flame par pakana hay, khoya ready hay.
Ab khoey main sugar ko mix kar lain aur puknay dain. Low flame pay sugar ko itna paka lain kay khoya aur sugar aik paste bun jaen.
Ab iss paste main ghee add krain aur low flame pay pakatay rhain.
Dusri trf anday whisker say beat kar lain aur zarda colour add kar lain.
Ab khoey walay mixture main thora thora kar kay anda add krtay rhain aur musalsul hilatay rhain.takreebun 5 - 6 minutes low flame pay paka lain.
Flame ko medium to low kar kay 5 minutes mazeed paka lain. Chumch nae chorna. Sath hi elaichi ka powder add kar dain.
Ab kuttay huay badaam add krain aur 5 minutes mazeed medium aag pay pakatay rhain.
Jub anday ghee chor dain to nikal lain aur serve krain.
Ingredients
For khoya :
1 cup powder milk
1/2 cup milk
1 Tbsp ghee
For hulwa :
5 eggs
1 cup sugar
3/4 cup ghee
1/2 tsp elaichi powder
20 almonds
1 chutki zarda colour
Related Recipes
Wainar alkama
Okra soup
Hot Dogs
Tuwon dawa
Daal chawal salad aur taza aalubukharay ka sharbat