Source : Motay Painday Wali Karahi Main Ghee Elaichi Aur Baisan Ko Daal Dain Hulki Aag Pay Baisan Ko Bhon Lain Taqreeban 30 - 35 Minutes Tuk Bhonae Ho Gi Jub B...
Sent by Umbreen Musa
Motay painday wali karahi main ghee, elaichi aur baisan ko daal dain.
Hulki aag pay baisan ko bhon lain. Taqreeban 30 - 35 minutes tuk bhonae ho gi.
Jub baisan khushbu dainay lagay aur ghee nikal aae to aag bund kar dain aur sugar add kar dain.
Ab saray dry fruits add kar kay mix krtay rhain.
Deep try main ulta lain. Thunda ho jaey to cuts laga dain. Winters main juldi set ho jata hay. Ghee juldi jum jata hay.
Kaat kar sumbhal lain. Garam dudh kay sath winters ka best nashta.