Source : Qeemay Main Filling Ingredients Add Kar Dain Achi Tra Mix Kar Lain Karailay Cheel Kar Kaat Kar Dho Lain Chilkay Alug Say Dho Lain Achi Tra Pani Nich...
PreTime
more Minutes
CookTime
a few Minutes
Yield
Some Servings
Sent by Umbreen Musa
at : September 26, 2025
Step:
Qeemay main filling ingredients add kar dain.
Achi tra mix kar lain.
Karailay cheel kar kaat kar dho lain. Chilkay alug say dho lain. Achi tra pani nichor lain.
Karailon main qeema bhur lain aur har karailay ko 2 tooth picks say bund kar dain. Dhaga bhi use kar suktay hain, mugar dhaga khatay waqt kholna bht mushkil hota hay.
Karailay hamesh taiz garam oil main fry krain. Fry kar kay nikal lain.
Chilkay bhi usi oil main fry kar lain.
Ab masalay kay leay usi oil ko chaan lain aur piyaz light brown kar lain.
Ab light brown piyaz main salan kay ingredients daal dain. Achi tra bhoon lain. Agar thora qeema buch gea ho to bhi daal dain.
1 cup pani daal kar masala tiyar kar lain.
Ab is masalay main karailay dal dain aur chilkay bhi add kar lain.
1 cup dudh daal kar medium aag par 20 minutes puknay dain.
Khatay waqt tooth pick nikal dain, qeema aik kabab ki shakal main hay aur karaila kurwa bhi nahi hay.