Source : Sab Se Pehly Palak Ko Ache Se Dho Kar Khula Pani Daal Kar Paka Lain Ke Gal Jae Phir Nichor Kar Mash Kar Lain Ab Ak Bartan Mein Payaz Tamatar Lahsun ...
PreTime
more Minutes
CookTime
a few Minutes
Yield
Some Servings
Sent by Haya Ali
at : September 18, 2026
Step:
Sab se pehly palak ko ache se dho kar khula pani daal kar paka lain ke gal Jae phir nichor kar mash kar lain.
Ab AK bartan mein payaz, tamatar, lahsun, sabaz mirch aur pani shamil karain aur ache galne taq paka lain.
Gal Jae to namak, laal mirch aur haldi daal kar paka lain aur sath hi chicken bhi shamil kar dain.
Masala ka pani khushak ho jae to oil daal kar ache se bhon lain ke chicken pak Jae.
Ab AK alag bartan mein oil daal kar zeera, darchinni, gol laal mirch, Choti Elaichi, badi Elaichi aur badyan daal kar halka sa bhon lain.
Phir is mein mash ki Hoi palak shamil kar lain aur ache se bhon lain.
Palak ache se bhon Jae aur khushboo ane lage to ate ka paste shamil karain aur 5 mint slow flame per paka lain.
Pak Jae to tayar kiya howa chicken shamil kar ke mix karain aur 5 mint dam per paka lain.