Source : Milk Ko Boil Karein Jab Boil Ho Jaye Slowly Slowly 1/2 Cup Orange Juice Dale Jab Milk Ka Chena Ban Jaye Tab Juice Dalna Band Kar De Ab Chena Ko Cha...
PreTime
more Minutes
CookTime
a few Minutes
Yield
Some Servings
Sent by Manisha Jain
at : August 9, 2026
Step:
Milk ko boil karein jab boil ho jaye slowly slowly 1/2 cup orange juice dale.. Jab milk ka chena ban jaye tab juice dalna band kar de... Ab chena ko chalni se chan le aur kuch der bhari saman se Daba ke rakhe.
1/2 an hour baad chene ko mixer mein chalaye.. Fir hath SE tab tak masle jab tak ki wo smooth na ho jaye aur hath se chipkna band na kar de.. Ab iski choti choti bolls banaye
Ek kadai Le usme sugar and pani dale aur sugar melt hone tak boil karein.. Thick Chashni nahi banani.. Sirf sugar melt hone tak hi boil karna ab isme bolls dale dhyaan rakhe bolls ke beech sufficient gap ho
Kadai ko dhak de and 5 mins baad chammach SE halka sa ghumaye aur dhak kar bapas 5 mins cook karein yani total 10 mins cook karna.. Cook hone par gar off karein aur halka thanda hone de
Orange juice me 1/2 cup ya taste ke according sugar dalkar milaye. Jab rasgulle thorax thande ho jaye halke hath se daba kar Orange juice mein dale.. Refrigerator mein rakhe kar thora thanda karein.. And enjoy