Source : Sabsay Pehlay Aik Bowl Mein Bareek Kati Gajar Shimla Mirch Bandh Gobhi Add Karain Phir Ous Mein Tamam Masalay Namak Kali Mirch Powder Chinese Namak/...
Sent by Gull E Shah
Sabsay pehlay Aik bowl Mein bareek Kati Gajar, Shimla Mirch Bandh gobhi add Karain..
Phir ous Mein Tamam Masalay Namak Kali mirch Powder, Chinese Namak/chicken powder add karian
Phir Soya sauce Chilli sauce Sirka add Kar ke Achay say mix Karin
Phir maida add kar dain
Aab Thora Thora Kar ke Pani add Kar ke Mixcher Tayar Karlain...
Mixcher Tayar Hojay karahi Mein oil gar lain or Hath ya spoon ki madad say Mixcher karahi Mein daltay jain or dheemi aanch pay Pakain
Aik Taraf Say Pak Kar Light golden hojay To Palat Kar Dosri Taraf say Pakain..
Dono Taraf say Pak Kar Light golden Hojay to plate Mein Nikal lain...
Ketchup ke sath paish Karain mazeedar Chinese Pakoray Tayra Hain..