Source : Rice Ko 2 Tsp Salt Daal Kar Boil Kar Lain Beef Ko Pani Main Boil Kar Lain 5 Minutes Boiling Kay Baad Beef Ka Sara Pani Phaink Dain Aur Beef Ko Alug Ruk...
PreTime
more Minutes
CookTime
a few Minutes
Yield
Some Servings
Sent by Umbreen Musa
at : August 9, 2026
Step:
Rice ko 2 tsp salt daal kar boil kar lain.
Beef ko pani main boil kar lain. 5 minutes boiling kay baad beef ka sara pani phaink dain aur beef ko alug rukh dain.
Ab pressure cooker main 3 glass pani dal kar garam krain. Pani garam ho jaey to beef daal dain.
Beef main onions, ginger garlic paste, salt, tmaam garam masalay add kar kay 30 minutes ka pressure dain.
Pressure kay baad pani dry kar kay oil add krain aur bhoon lain.
Ab dahi add krain aur oil nazar aanay tuk bhoon lain.
Ab daighchay main rice aur beef ki layer laga dain. Sath hi yellow colour liquid daal dain.
Isi tra baki layers laga dain
Ab 15 minutes ka dum day dain. Biryani ready hay.
Bht hi different aur amazing biryani ready hay. Exactly follow krain aur btaen kaisi bni.
Ingredients
2.5 glass rice
1.5 kg beef
1.5 kg onions
1.5 cup oil
4 Tbs ginger garlic paste
3 tsp salt
1 tsp black pepper sabut
4 barri elaichi
4 stick daar cheeni
10-12 clove
4 choti elaichi
3 tsp zeera
1/2 kg dahi
1 tsp yellow colour
1/2 cup milk for yellow colour liquid
Related Recipes
Bread crumbs
Gajor chicken
Khageena egg dish
Chicken puff
Koftay ka salan
Stuffed chicken lava burger with cream cheese sauce