Source : Onion Ko Oil Main Light Brown Kar Kay Nikal Lain Aur Oil Main Chicken Daal Kar Bhoon Lain Milkshake Walay Jug Main Brown Onion Dahi Qorma Masala Aur ...
PreTime
more Minutes
CookTime
a few Minutes
Yield
Some Servings
Sent by Umbreen Musa
at : June 5, 2026
Step:
Onion ko oil main light brown kar kay nikal lain. Aur oil main chicken daal kar bhoon lain.
Milkshake walay jug main brown onion, dahi, qorma masala aur tomato ko achi tra blend kar lain.
Chicken ka colour jub change ho jaey yani white ho jaey to grind kia hua masala daal dain aur bhoon lain.
Jub oil nikal aaey yani nazar aanay lagay to 2 cup pani daal kar boil aanay dain. Phir hulki aag pay 10 say 12 minutes paka lain. Serve krtay waqt badaam chilkay utar kar daal dain.
Kachumar kay leay vegetables ko chotay cubes main kaat lain aur lemon ka rus daal kar mix kar lain.