Source : Bowl Main Butter Ko Beat Krain Jub Fluffy Ho Jaey To Sugar Aur Brown Sugar Add Kar Kay Mix Kar Lain Ab Vanilla Essence Add Krain Phir Baking Soda Cor...
PreTime
more Minutes
CookTime
a few Minutes
Yield
Some Servings
Sent by Umbreen Musa
at : June 3, 2026
Step:
Bowl main butter ko beat krain. Jub fluffy ho jaey to sugar aur brown sugar add kar kay mix kar lain.
Ab vanilla essence add krain. Phir baking soda, corn flour aur flour add kar kay mix krain. Sath aik aik Tbs kar kay milk add krain. Achi tra mix kar lain.
Half main cocoa powder mix kar lain half aisay hi rahnay dain. Isay 10 minutes kay leay fridge main rukh dain.
Ab jo bhi cookies main dalna hay ready krain.
Ab chotay balls bana kar kisi ball main koi garnishing kisi main koi daltay jaen aur butter paper wali dish main rukhtay jaen. Faslay pay rukhain warna puk kar apis main jur jaen gi.
Pre heated oven main 180 degrees pay 10 say 12 minutes bake kar lain. Pateelay main 2 say 3 minutes zeada lagtay hain.
Puk jaen to nikal kar thunda honay dain. Garam main bht soft hon gi cookies.