Chicken Biryani

Source : Sub Sy Pehle Seela Rice Ko 3 Hour Ke Liye Bhigo Dein Wash Kar Keoil Garam Krein Us Main Onion Cut Kar Ke Golden Brown Kar Lein Aur Brown Onion Ko Oil Sy...

PreTime
more Minutes
CookTime
a few Minutes
Yield
Some Servings

Sent by

at : April 23, 2026

Step:

  1. Sub sy pehle seela rice ko 3 hour ke liye bhigo dein wash kar ke

  2. Oil garam krein us main onion cut kar ke golden brown kar lein aur brown onion ko oil sy nekal kar side kar dein

  3. Usi oil main sy half oil nikal ke side kar dein baki oil main sare sabit garam masale add krein 1 min kar karain phir chicken add krein

  4. Chicken ko etna fry krein oil main ke us ka colour change ho jaye

  5. Aub chicken main ginger garlic paste add krein aur khub ache sy 5 min tak bhon lein

  6. Ginger garlic paste dalne ke baad,chicken ke hisab sy salt add krein, red chilli powder, coriander powder, Tarmiric powder add krein thora pani dal kar bhon lein 5 min tak

  7. Masale add krne ke baad dahi 1/2 cup add krein aur ache sy bhon lein

  8. Aub Tamatar gol kat kar add krein aur 5 min ke liye cover kar dein take tomato soft ho jaye

  9. 5 min ke baad Tamatar bhi bhon lein thora pani add krein take halki si gravy ban jaye

  10. Aub garam masala powder, jayefal, jawetri safeed elachi powder add krein mix krein

  11. Lemon cut kar ke add krein allu bukhare add krein

  12. Aub chicken main brown onion, green chilies add krein ache sy mix kar lein aur flem off kar dein khayal rahe ke chicken main thori gravy honi chahye kyun ke jab biryani dam lagain tu bhap asani sy ban jaye aur biryani ache sy dam par a jaye

  13. Aub ke bare patrlay main chawal ke hisab sy 4 guna pani zada dal kar pani boil kar lein

  14. Jab pani main ache sy boil a jaye tu 2 tbsp oil, aur salt add krein chawal ke hisab sy, 1/2 tsp biryani essence bhi dal dein phir rice dalein

  15. Ek kani chor kar chawal boil kar lein aur chan kar rakh lein

  16. 1/2 cup yogurt main zarde ka rang mix kar ke side kar dein

  17. Aub ek khole moh ka bara patela lein us main ready chicken ko pehla kar dal dein oper sy hara dhanya, podena add krein

  18. Dhanya, podena add krne ke baad dahi main jo zarde ka rang mila kar rakha tha wo dahi pehla kar chicken par dal dein

  19. Dahi dalne ke baad chawal ki teh lagain phir half oil jo nikal kar rakha tha wo oper sy dal dein biryani masala 1/2 tsp dalein, kewara dalein thora pani ka chenta dein aur cover kar dein

  20. Aub ek tawa garam krein aur biryani ka patela tawe par rakh dein 10 min full flem par pakain phir slow flame par 15 min ke liye dam laga dein mazedar dar Khushbo dar biryani ready ho jaye gi

    Chicken Biryani recipe step 20 photo

Ingredients

  1. 1 1/2 kg chicken
  2. 1 1/2 kg seela rice
  3. 5 onion
  4. 6 tomato
  5. 4 tbsp ginger garlic paste
  6. 1/2 bunch coriander leaves
  7. 1/2 bunch podena
  8. 12 green chilies
  9. 1 lemon
  10. 10 allu bokhare
  11. to taste salt
  12. 3 tbsp red chilli powder
  13. 2 tbsp coriander powder
  14. 1/2 tsp Tarmiric powder
  15. 1 tsp garam masala powder
  16. 1 1/2 cup oil
  17. 10 kali mirch
  18. 8 long
  19. 3 kali elachi
  20. 6 safeed elachi
  21. 4 dar cheni
  22. 4 tez patta
  23. 1 tbsp safeed zera
  24. 2 badtan ke phol
  25. 1/4 tsp jaifal powder
  26. 1/4 tsp jawetri powder
  27. 1/2 tsp safeed elachi powder
  28. 1 tsp biryani essence
  29. 1 tsp rooh e kewra
  30. 1 tsp zarde ka rang
  31. 1 cup yogurt

Related Recipes

Sheer Khorma

Sheer Khorma

Mutton Stew

Mutton Stew

Merchant Packet Sandwich

Merchant Packet Sandwich

Rabri kheer

Rabri kheer

Watermelon lemonade

Watermelon lemonade

Tomato soup

Tomato soup

Paneer tikka

Paneer tikka

Umm Ali

Umm Ali