Source : Set All Ingredients Chicken Ko Wok Main Daal Dain Aur Oil Daal Dain Ab Pani Add Krain Ab Salt Zeera Sabut Laal Mirch Add Krain Aur Phir Dahi Add Kra...
PreTime
more Minutes
CookTime
a few Minutes
Yield
Some Servings
Sent by Umbreen Musa
at : April 22, 2026
Step:
Set all ingredients.
Chicken ko wok main daal dain. Aur oil daal dain.
Ab pani add krain.
Ab salt, zeera, sabut laal mirch add krain aur phir dahi add krain.
Ab onions, tomatoes aur harri nirch add krain. Aur dhukan ko achi tra bund kar dain.
Isko 15 minutes medium flame pay puknay dain phir aag kum kar dain.
15 say 20 minutes hulki aag pay puk kar pani ghayeb hona start kar day ga.
Dhukan hata kar 15 min hulki aag pay chumch hulkay say chulatay huay bhon laina hay.
Jub pani bilkul dry ho jaey aur oil nazar aaey to aag bund kar dain. Garma garam serve krain.