Source : Sabsy Pehly Ek Bowl Main Water Aur Milk Dalain Aur Usko Microwave Main 10 Second Garam Karain Aur Is Main Sugar Add Karain Phir Yeast Add Kar Ky Mix K...
PreTime
more Minutes
CookTime
a few Minutes
Yield
Some Servings
Sent by Sadia Asif
at : April 21, 2026
Step:
Sabsy pehly ek bowl main water aur milk dalain
Aur usko microwave main 10 second garam karain aur is main sugar add karain
Phir yeast add Kar ky mix karain aur 15 min rest dain ta ky yeast rise ho jaye
Abb dosry bowl main butter dalain aur melt karain aur is main egg add karain aur mix karain
Abb ek bowl main maida dalain aur is main egg wala mixture dalain aur phir yeast wala mixture dalain
Abb is ko ghondh lain ager gela ho jaye tu haathon py thora sa oil ly ky samait lain
Soft sa ghondh lain aur 3 hour ky liye rakh dain
3 hour ky baad dough ko haathon sy daba ky dekhain ky rise ho gaya hai Tu dough ko dobara sy knead karain
Abb paira bana ky bari roti bail lain thori moti ho
Abb dunuts cutter sy kaat ky ek tray main rakhay aur 1 hours aur rakhain
Abb karahi main oil dalky paka lain aur phir dunuts ko fry Kar lain flame slow rakhay jub ligh golden ho jaye tu nikal ky thanda Kar lain
Abb ek bowl main sugar powder aur Coco powder add karain. Aur is main melt butter add karain aur milk bhi dal dain aur hand beater sy beat karain aur thanda Kar ky fork sy one by one dunuts ko dip karain aur phir serve karain for ur required.