Source : Subsay Pahlay Sponge Kay Ingredients Ready Keay Aik Bowl Main Sugar Aur Egg Ko 5 Minutes Beat Kia Aur Yellow Colour Add Kia Ab Flour Ko 2 Min Fold Kia ...
PreTime
more Minutes
CookTime
a few Minutes
Yield
Some Servings
Sent by Umbreen Musa
at : January 28, 2026
Step:
Subsay pahlay sponge kay ingredients ready keay.
Aik bowl main sugar aur egg ko 5 minutes beat kia aur yellow colour add kia.
Ab flour ko 2 min fold kia.
Dish ko ghee laga kar mixture dala aur preheated oven main 180 degree pay 20 say 25 minutes bake kia.
Baking kay doraan hi chocolate sauce ready krni hay.
Pan main chocolate aur sugar daal kar garam krain. Melt ho jaey to milk add kar kay paste bana lain.
Ab strawberry sauce bnani hay.
Pan main strawberry aur sugar add kar kay paka lain.
Achi tra dba dba kar pakani hay, itna paka lain kay thick sauce bun jaey. Sath hi red colour dalna hay.
Kino ka juice nikal lain. Yea takreebun one and half cup ho ga.
Juice ko pan main daal kar boil honay dain aur sugar add kar dain.
Ab corn flour ki paste bana lain aur boiling juice main slowly add krain.
Continously chumch hilatay rahna hay. Yahan tuk kay thick ho jaey.
Ab dish main daal dain aur thunda honay kay leay rukh dain.
Sponge ready ho jaey to wet towel pay ulta dain. Aur roll kar dain.
5 minutes badd thora thunda ho to roll ko khol lain.
Ab dono sauce spread kar kay phir roll kar lain. Aur cling film main roll kar kay freezer main rukh dain.
Juice ki thick paste jo set ho chuki hay usay shape main kaat lain.
Crushed coconut ki coating kar dain.
Roll ko aik ghantay baad nikal kar khol lain aur slices kaat lain.
Flour aur green colour ko mix kar lain aur pani daal kar dough bana lain.
Ab aik white board ya dish lay kar bouquet kay sub ingredients set kar lain. Ribbon say decorate kar dain.