Source : Boneless Chicken Ko Kaat Kar White Paper Aur Ginger Garlic Paste Laga Dain 30 Min Kay Leay Marinate Kar Dain 30 Min Baad Deep Fry Kar Lain Ab Dusray Bu...
PreTime
more Minutes
CookTime
a few Minutes
Yield
Some Servings
Sent by Umbreen Musa
at : January 15, 2026
Step:
Boneless chicken ko kaat kar white paper aur ginger garlic paste laga dain. 30 min kay leay marinate kar dain.
30 min baad deep fry kar lain.
Ab dusray burtan main oil main onion ko kaat kar light brown kar lain. Tomatoes kaat kar add krain, zeera dalain aur bhoon lain.
Ab iss ko blender main blend kar lain.
Ab daighchi main blended masala add krain, usmain chicken add krain, namak mirch, dahi, hari mirch aur achar gosht masala add krain.