Sawayeon ki kheer

Source : Ghee Main Elaichi Daal Kar Garam Krain Aur Sawayian Tor Kar Daal Dain 5_6 Minutes Bhoon Lain Aur Milk Add Kar Dain Milk Ko Taiz Aag Pay Boil Aanay Dain...

PreTime
more Minutes
CookTime
a few Minutes
Yield
Some Servings

Sent by

at : January 15, 2026

Step:

  1. Ghee main elaichi daal kar garam krain aur sawayian tor kar daal dain.

  2. 5_6 minutes bhoon lain. Aur milk add kar dain.

  3. Milk ko taiz aag pay boil aanay dain.

  4. Ab aag hulki kar dain aur dhukan kay bghair aik ghanta puknay dain.

  5. Ab sugar add krain aur chumch say mix kar lain.

  6. Sugar add krnay kay baad aag thori taiz krni hay aur thick krna hay, chumch hilatay jana hay warna jul jaey gi.

  7. Jub thick ho jaey to dish out kar lain.

  8. Badaam hon to cheel kar bareek kar kay daal dain. Mairay pass thay nae isleay nae daal suki.


Ingredients

  1. 150 grams sayaian (1 packet)
  2. 3 liter milk
  3. 1 cup sugar
  4. 4 Tbs ghee
  5. 4 choti elaichi

Related Recipes

Kheer

Kheer

Awara

Awara

Chicken Roast

Chicken Roast

Hot and sour soup with cheesy bread sticks

Hot and sour soup with cheesy bread sticks

Fura da nono with coconut

Fura da nono with coconut

Shahi mash ki daal raita roti aur salad

Shahi mash ki daal raita roti aur salad

Swiss roll and candy bouquet

Swiss roll and candy bouquet

Crunchy peanut burger

Crunchy peanut burger