Source : Sab Se Pehly Daal Ko Raat Bhar Bhigo Kar Rakh Dain Phir Nichor Kar Chopper Mein Pice Lain Ab Kisi Chamach Ki Madad Se Ak Hi Size Ke Pakore Bana Lain ...
PreTime
more Minutes
CookTime
a few Minutes
Yield
Some Servings
Sent by Haya Ali
at : October 31, 2025
Step:
Sab se pehly daal ko raat bhar bhigo kar rakh dain. Phir nichor kar chopper mein pice lain.
Ab kisi chamach ki madad se AK hi size ke pakore bana lain. (hath se bhi kar sakte hain ye siraf is liye hai ke ache se pak sakain.)
Ab oil garam kar ke pakore fry kar lain.
Golden colour a Jae to nikal lain.
Aur garam garam hi graind kar ke pise lain.
Ab narial ko saaf kar ke barik Kash kar lain aur kaju, pistachios bhi barik kaat lain.
Badam ko halka sa dry roast kar ke barik kaat lain.
Ab AK bartan mein 2 tbsp ghee daal kar Kishmish ko fry kar lain.
Ab baqi ka bacha howa Sara ghee kisi khule bartan mein daal kar pakore jo fry kar ke pise the unko halki anch per ache se bhon lain ke light golden colour a Jae.
Ache se bhon lain to chulhe se UTAR lain aur chinni aur tamam dry fruits mix kar lain.
Behad lazeez aur Mazedaar pinjiri tayar hai.
Chae ke sath serve karain. (Ye ap kisi bhi waqat le sakte hain lekin best time nasta hai.)