Source : Daal Ko Saaf Kar Kay Dho Lain Aur 30 Minutes Tuk Bhigo Dain Pressure Cooker Main Oil Daal Kar Onion Ko Light Fry Krain Tomatoes Chop Kar Kay Daal Dain S...
PreTime
more Minutes
CookTime
a few Minutes
Yield
Some Servings
Sent by Umbreen Musa
at : October 9, 2025
Step:
Daal ko saaf kar kay dho lain aur 30 minutes tuk bhigo dain.
Pressure cooker main oil daal kar onion ko light fry krain.
Tomatoes chop kar kay daal dain.
Sath hi adrak lahsan ka paste aur namak mirch huldi dhuniya daal kar masala bhon lain.
Achay bhunay masalay main daal daal kar 2 minutes paka lain.
Ab aik cup pani daal kar 5 say 7 minutes ka pressure laga dain.
Hopefully daal achi puk jaey gi, baaz dafa daal sukht rah jati hay, usmain dubara thora hulka garam pani daal kar 2 ya 3 min ka pressure day suktay hain. Pani thunda na ho warna daal kubhi naram nahi ho gi.