Source : Sab Se Pehly Tamatar Mai Chinni Daal Kar Ache Se Mix Kar Lain Tamatar K Seeds Aur Chilka Hata Kar Goda 1_1/2hona Chahiye Ache Se Mix Ho Jae To 2 Se 3...
PreTime
more Minutes
CookTime
a few Minutes
Yield
Some Servings
Sent by Haya Ali
at : July 9, 2026
Step:
Sab se pehly tamatar mai chinni daal kar ache se mix kar lain.(tamatar k seeds aur chilka hata kar goda 1_1/2hona chahiye)
Ache se mix ho jae to 2 se 3 ghante k liye dhak kar rakh dain k chinni pani mai badal Jae.
Ache se chinni Hal ho jae teez anch per ubal ane taq paka lain.
Ache se ubal a Jae to is mai namak, kali mirch aur laal mirch daal dain.
Ab isko 15 minutes k liye medium flame pe paka lain.
Sath sath kisi chamach se hilate rahain.
Ab is mai Badam shamil kar lain. Aur Sheera garha hone taq paka lain.
Ab is mai Sirka shamil karain aur flame off kar dain.
Nihayat lazeez aur Mazedaar tamatar ki mithi chatni tayar hai.