Source : Mango Ko Grander Main Grand Kar Ke Puree Bana Lainphir Aik Pan Lain Is Main Ghee Ko Melt Kar Laeinphir Low Flame Pey Coconut Shredded Ko 2 Se 3 Minute K...
PreTime
more Minutes
CookTime
a few Minutes
Yield
Some Servings
Sent by Sumra Suhail
at : June 25, 2026
Step:
Mango ko grander main grand kar ke puree bana lain
Phir aik pan lain is main ghee ko melt kar laein
Phir low flame pey coconut shredded ko 2 se 3 minute ke liay bhone laein
Phir is ko nikal lain
Phir pan main mango puree add karein low flame pey phir is main condensed milk add kar dain
Is ko masalsal hilatey rahay medium flame kar dain
Is ko pakkanay main 2 se 3 minute lag jaein gay or thick kar lain
Phir is main coconut jo bhone ke rakha tha add kar dain
Phir coconut add karnay ke baad is ko helatey rehay jub ye gara honay lagay tu is main cardamom powder add kar dain
Phir thic ho jaein tu nikal kar alag bowl main thora thnada honay rakh dain
Jub thora sa thanda ho jaein tu is ke gool gool laddo bana laein oper coconut shredded sprinkler kar ke phir is ko serve karein