Source : Kabab Kay Ingredients Ready Kar Lain Chopper Main Chop Kar Lain Salt Chilli Garam Masala Zeera Aur Sukha Dhuniya Daal Dain Ab Oil Aur Egg Bhi Daal...
PreTime
more Minutes
CookTime
a few Minutes
Yield
Some Servings
Sent by Umbreen Musa
at : April 2, 2026
Step:
Kabab kay ingredients ready kar lain.
Chopper main chop kar lain. Salt, chilli, garam masala, zeera, aur sukha dhuniya daal dain. Ab oil aur egg bhi daal kar mix kar lain.
Achi tra mix kar kay kabab bana lain. Oily hands kay sath.
Aik daigchay main pani dal kar boil krain aur boiling water main kabab daal kar boil kar lain. 15 minutes
Tip : beef main chicken add krnay ka muksad yea hay kay kabab tut tay nahi, achi tra jur jatay hain.
Ab gravy kay leay onion ko chop kar kay oil main light brown kar lain.
Ab tomato ko blend kar lain. Adrak lahsan add kar kay.
Ab onion main tomato paste dal dain. Salt, chilli, sukha dhuniya dal kar masala bhoon lain.
Jub masala achay say bhon jaey aur oil nikal aaey to pani dal kar boil aanay dain.
Ab boil keay huay kabab daal kar puknay dain.
5 minutes puknay kay baad 15 minutes hulki aag pay dhukan day kar puknay dain. Oil nazar aanay lagay to aag bund kar dain. Hara dhuniya aur adrak ki garnishing kar dain.
Ghar ki tandoori roti ya naan kay sath serve krain.