Source : Sabsy Pehly Butter Cream Ky Liye Milk Main Sirka Dalain Aur 10 Min Rakh Dain Buttermilk Ready Ho Jai Ga Cake Ky Liyrabb Maida Main Baking Powder Aur Sod...
PreTime
more Minutes
CookTime
a few Minutes
Yield
Some Servings
Sent by Sadia Asif
at : March 6, 2026
Step:
Sabsy pehly butter cream ky liye milk main sirka dalain aur 10 min rakh dain buttermilk ready ho jai ga cake ky liyr
Abb maida main baking powder aur soda dalain aur mix karain aur channi sy chaan lain
Abb dosray bowl main egg ko beat karain itna ky jhaag sa bun jaye
Abb egg main oil sugar buttermilk dal ky beat karain itna ky ek jaan ho jaye
Abb maida wala portion egg walay bowl main dal ky hand beater sy mix karain ek jaan ho jaye
Abb 3 mold lian aur oil sy brush karain aur is py butter paper lagain phir is main cake batter dalain
Aur cake ko 50 min bake karain
Jab tak cake tayyar hota hai hum frosting tayyar kertay hain
Frostin ky liye bowl main sabsy pehly cream chees ko electric beater sy beat kia itna ky cream sa bun jaye
Abb is main butter bhi dal ky beat karain aur sugar powder bhi dal dain aur achi terha beat karain
Abb milk aur vanila extract bhi dal ky beat karain ky cream si bun jaye aur frige main rakh dain
Jab cake tayyar ho jaye tu is ko frige main 2 hour ky liye rakh dain
Jab cake thanda ho jaye tu cake ko nikal lain
Abb 3no cakes ko alag alag centre sy kaat ky cream lagain
Abb 3 no cake ko ek saath ek dosray ky upper rakhain aur beech main cream bhi lagain
Abb ek long cake bun jaye ga abb cream ko sari sided sy cake ko cover karain
Abb ek scale ki madad sy cake ko upper cut karain ky ek frock type ka ban jaye
Abb upper sy chota sa hole kar ky is main doll ko set kar dain aur sary cake ko cream sy cover karain
Abb cream main jesa doll ko colour dyna hai woh colour mila ky apni merzi ka design banain
Aur cream sy hi doll ko bhi cover karain aur birthday celebrate karain