Source : Tawa Lay Lien Tamam Ajza Tyar Kar Lienbaingan Dho Kar Halki Anch Par Taway Par Rakh Dien Cover Kar Dien 5 Minute Ke Lyay Phir Dhakan Uthakr Bainganon Ki...
PreTime
more Minutes
CookTime
a few Minutes
Yield
Some Servings
Sent by Humaira Saleem
at : February 21, 2026
Step:
Tawa lay lien.
Tamam ajza tyar kar lien
Baingan dho kar halki anch par taway par rakh dien.cover kar dien 5 minute ke lyay.phir dhakan uthakr bainganon ki side change kar dien ta ke dosry side say bi achi trah sik jayenzaroorat ho tu 1 say 2 tablespoon pani bi add kar saktay taway par.
Jab khoob soft aur tender ho jayen tu taway say utar kar dandyan aur chilkay alag kar dien.ab chilay huay banganon ko mash kar lien.
Taway par oil add kar ke thora garam krien aur bareek katta adrek lehsan add krien.1 minute pakayen aur pyaz shamil kar dien.
Jab pyaz soft ho jayay tu masalay add krien 2 tabspoon pani bi dalien ta ke masalay jal na jayen.1 minute pakanay ke baad tamater aur hari mirchien add krien thora pani add kar dien.
2 say 3 minute ke lyay dhak kar pakayen ta ke tamater achay say tender ho jayen.
Jab saray masalay aur tamater bhun jayen.tu baingan ka bharta add krien.aur 1 say 2 minute halki anch par pakaien.
Ab 2 minute ke lyay cover kar ke halki anch dam lgain ta ke saray masalay baingan mn achay say add ho jayen.dam say utar kar taza dhania daal kar serve krien.