Source : Subsay Pahlay Chawal Kay Leay Onion Ko Oil Main Light Brown Kar Lain Light Brown Ho To Chicken Add Krain Chicken Ko Onion Main Achi Tra Chumch Say Mix ...
PreTime
more Minutes
CookTime
a few Minutes
Yield
Some Servings
Sent by Umbreen Musa
at : February 11, 2026
Step:
Subsay pahlay chawal kay leay onion ko oil main light brown kar lain.
Light brown ho to chicken add krain.
Chicken ko onion main achi tra chumch say mix krain.
Dahi aur namak mirch daal kar bhon lain.
Bhon jaey to pani daal kar boil aanay dain.
Chawal jo dho kar dus min bhigo deay thay boiling yukhni main daal dain.
Jub pani dry ho jaey to 15 minutes ka dum day dain.
Koftay kay leay ingredients ready kar lain.
Ab in sub ko chop kar lain, egg baad main dalna hay.
Dhuniya mirch me dalna bhool gae thi isleay alug say pees kar dala.
Subko mix krain. Oil bhi add kar lain.
Ab chotay chotay koftay bana lain.
Pani ko daighchi main boil hona rukhain aur koftay boil kar lain.
Ab shashlik ko ready krnay kay leay ingredients set krain. Capsicum, tomatoes aur onion ko cubes main kaat liya hua hay. Koftay boiled hain.
Ab sticks pay laga dain.
Isi tra sari sticks ready kar lain.
Ab maiday aur corn flour main salt daal kar paste bana lain.
Oil ko garam krain. Aur paste lagi sticks ko fry kar lain.
Aik side ho jaey to side change kar lain.
Salad ko plate main set krain.
Ab rice and shashlik sticks ko set kar kay rukh dain. Garam garam serve krain. Rice kay elawa kisi chutni ya ketchup kay sath bhi kha suktay hain.