Source : Carrot Ko Cheel Kar Grate Ya Kadukush Kar Lain Rice Ko Boil Kar Lain Ab Aik Barray Burtan Main Dudh Carrot Aur Rice Ko Mix Kar Lain Taiz Aag Pay Dudh K...
PreTime
more Minutes
CookTime
a few Minutes
Yield
Some Servings
Sent by Umbreen Musa
at : January 14, 2026
Step:
Carrot ko cheel kar grate ya kadukush kar lain.
Rice ko boil kar lain.
Ab aik barray burtan main dudh, carrot aur rice ko mix kar lain.
Taiz aag pay dudh ko boil aanay dain.
Boil aanay par aag medium to low kar lain. Aur aik ghanta puknay dain.
Dudh thora thick ho jaey to sugar add kar dain.
Achi tra mix kar lain.
Mixx krnay kay leay blender ya wooden ghotwain ka use kar suktay hain.
Achi tra ghot lain jub tuk rice carrot aur sugar dudh main bilkul aik paste na bun jaen.
Ab taiz aag pay isay puknay dain.
Sath sath chumch chulatay rhain warna kheer jul jaey gi.
Jub dudh bilkul khushak ho jaey to utaar lain. Dish out kar lain.