Gurr walay chawal

Source : Subsay Pahlay Gurr Ko Aik Litre Pani Main Daal Kar Boil Aanay Dain Jub Gurr Bilkul Ghul Jaey Aur Sheera Bun Jaey To Utaar Lain Yea Sheera Taqreebun Aik ...

PreTime
more Minutes
CookTime
a few Minutes
Yield
Some Servings

Sent by

at : October 14, 2026

Step:

  1. Subsay pahlay gurr ko aik litre pani main daal kar boil aanay dain.

  2. Jub gurr bilkul ghul jaey aur sheera bun jaey to utaar lain.

  3. Yea sheera taqreebun aik glass jitna ya thora kum hona chaheay.

  4. Sheera thunda ho to usay aaraam say chaan lain. Agar gurr kay ander koi wastage ho gi to neachay baith jaey gi.

  5. Ab rice ko dho kar boil honay rukh dain. Jub rice almost done kay kareeb honay lagay to utaar kar chaan lain.

  6. Ab next step main jis burtan main rice pakanay hain usmain ghee dalain aur elaichi daal kar kurkara lain.

  7. Ab sheera daal lain aur sath hi boiled rice daal lain.

  8. Taiz aag pay sheera dry krain.

  9. Jub sheera mukamil dry ho jaey to nuts daal kar dum day dain.

  10. Dus minutes ka dum bohat hay. Badaam cheel kar dalnay hain. Maiway ki dundiyan tor kar aur khopray ko bareek bareek kaat kar.


Ingredients

  1. 1/2 kg rice
  2. 1/2 gurr
  3. 4 choti elaichi
  4. 1/2 cup desi ghee
  5. 2 Tbsp sonf
  6. 100 grams badaam
  7. 100 grams maiway
  8. 100 grams khopra

Related Recipes

Strawberry Margarita

Strawberry Margarita

Orange and ginger juice

Orange and ginger juice

Pudeenay wala raita

Pudeenay wala raita

Russian salad

Russian salad

Fried potato

Fried potato

Cinnamon and honey puff puff

Cinnamon and honey puff puff

Energy drink

Energy drink

Mini croissant

Mini croissant