1/2 cup oil garam krein us main chopped onion add krein pink ho jaye tu chopped hari mich dal kr 2 min pakain aub ginger garlic past add krein aur bhon lein aub red chili powder, kutti lal mirch dhanya powder, zera powder, chat masala, garam masala, anardana dal kr achi tarhan bhon lein sath hi tamato pure add krein etna bhon lein k oil alag ho jaye aub boil cholay dal kr bhon lein aur 2 cup cholon ka jo pani bacha tha wo add kr k mix krein aur 10 min dam pr pakain phir flem off kr dein